Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar
Aaj main apne dil ka wo panna khol rahi hoon jo maine ab tak chhupa kar rakha tha. Maine apni zindagi mein wo din dekhe hain jab apno ki berukhi aur halaton ne mujhe bilkul tod diya tha. Ek waqt tha jab mujhe lagta tha ki ab sab khatam ho gaya...
Lekin wahi mere liye ek nayi shuruat thi. Jab duniya ne sath chhoda, tab mere 'Baba Shyam' ne mera hath thama. Unhone mujhe sikhaya ki marna aa saan hai, par muskurakar jeena asli jeet hai.
Main un sab mahilao se bas 3 baatein kehna chahti hoon:
1.Rona Band Karein: Jo chala gaya wo aapke layak nahi tha. Ab khud se pyar karna seekhe in. Jab 'Haare ka Sahara' hamare sath hai, toh hum kamzor nahi hain.
2.Apni Pehchan Banayein: Log hamesha bolenge, unki baaton ko apni kamyabi ki seedhi banayein. Hum kisi ke rishte se nahi, apne hunar se pehchani jayengi.
3Choti Shuruat Karein: Aap mein jo bhi hunar hai—chahe cooking ho ya silai—use apni takat banayein. Jab aap khud ke liye khadi hoti hain, toh raste apne aap milte hain.
Mera Maqsad:
Maine ye blog isliye shuru kiya hai taaki mera dard aapki takat ban sake. Hum milkar dikhayenge ki ek aurat jab thaan leti hai, toh wo asmaan bhi choo sakti hai.
Yaad rakhiye, aap akeli nahi hain. Baba ka ashirwad aur mera sath hamesha aapke sath hai!
About Me:
"Main Baba Shyam ki wo laadli beti hoon jisne haar kar jeetna seekha hai. Meri pehchan mera hosla hai, aur mera maqsad har tootey huye dil mein umeed jagana hai."
![]() |


Comments
Post a Comment