Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

 




🙏🙏Jai Shri Shyam aur Radhe Radhe!🙏🙏

Aaj Day 67 hai. Aaj main wo parda uthane ja rahi hoon jo pichhle 5-6 saalon se meri zindagi par pada tha. Log mujh par shaq karte the, puchte the—'Ye phone mein kyun ghusi rehti hai? Password kyun hai?' Aaj un sab sawalon ka jawab dene ka waqt aa gaya hai.

10 Saal ka Intezar aur Ek-Ek Mauka:

Meri shaadi ko 10 saal ho gaye. In 10 saalon mein maine kitne mauke diye, ye sirf mera 'Baba shyam aur laddu Gopal  janta hai. Har baar mera pati bolta tha—'Mujhe ek mauka do, main sab theek kar dunga.' Par wo insaan kabhi nahi badla. Jab shaadi ke baad bhi saara kharch ladki ke maa-baap ko hi uthana pade, toh aisi shaadi ka kya matlab? Jab main apne maa-baap ke ghar gayi, toh mujhe 'Bhagoda' sabit kar diya gaya. Khane, peen ne, pehnne... har cheez ke liye taane diye gaye. Kahin ghumne bhi gaye, toh ek-ek rupaye ka hisaab ginwaya gaya. Kya yahi insaaf hai?

Kyun banayi maine 'Digital Diary'?

Ghar mein hamesha kaha gaya—'Ghar ki baat bahar mat karna, wo chugli hoti hai.' Maine sab saha, par apna dard kahin toh nikalna tha! Isliye 2020 se maine Blogger par apni 'Digital Diary' banayi. Raat ko jab sab so jate the, main chup-chap apne aansuon ko yahan likhti thi. Mera phone chhupana kisi 'Gair' ke liye nahi, balki apne in masoom sapno aur is sach ko bachane ke liye tha. Main nahi chahti thi ki mera mazaak bane.

Wo 'Naam' aur Galat Ilzaam:

Meri fitrat mein 'Bechari' banna nahi hai. Main mazboot hoon aur rahungi. Maine Law of Attraction ki practice ke liye ek random naam ka istemal kiya tha, kyunki main ek actress ko pasand karti thi aur usi kirdar mein likhti thi. Ittefaq se, jab main health advising ka kaam karti thi, usi naam ka ek insaan mujhse juda jo mujhe 'Didi' bolta tha. Par logon ne us masoom rishte par bhi nishana sadha aur mujh par ghinone ilzaam lagaye. Na mujhe jeene diya gaya, na marne diya gaya.

Selfish Kaun?

Agar main selfish hoti, toh unke ghar ke jhagde khatam karne mein apni zindagi nahi lagati. Par jab sabka kaam nikal gaya, toh mujhe hi badnaam karke ghar se nikal diya gaya. Aaj unka parivaar sahi hai, aur main, mere maa-baap aur mera bhai galat hain? Sabki aankhen band ki ja sakti hain, par 'Upar wale' ki nahi. Mera Baba sab dekh raha hai.



31 January 2026: Jab Sab Badal Gaya

Maine socha tha jab main khud ko proof kar lungi, tab sab batangi. Par ab meri sahan shakti khatam ho chuki hai. Isliye maine apne 2020 se likhe saare 'Drafts' publish karna shuru kiya hai, taaki duniya dekhe ki ek housewife ki khamoshi ka matlab uski kamzori nahi, balki uski 'Taiyari' thi.



Mujhe pata hai ye padhkar mujh par 'Bam' phoda jayega, par ab mujhe darr nahi lagta. Main ab sirf apne Baba ke kahe raste par chal rahi hoon.

Agar aapko lagta hai ki ek aurat ka apne haq ke liye bolna sahi hai, toh. jai shree shyam'Radhe-Radhe' likhkar mera saath dein. 🙏✨"





Shayari

Tute hue kaanch ki tarah churr ho gayi thi main,

Logon ke liye khud ko hi bhulakar dar gayi thi main.

Chugli aur mazaak ke darr se chup rahi barson tak,

Par ab jab paani sar se upar gaya, toh sabke samne aa gayi main.

Agar aapko lagta hai ki maine sach bol kar sahi kiya, toh please LIKE aur COMMENT mein jai shree shyam aur 'Radhe-Radhe' likhkar mera saath dein. ❤️✨"

Hashtags: 

#Day 67 #Truth revealed #Housewife struggle #Blogging journey #10 Years Experience #Digital diary #Silent Warrior #Law of attraction #Radhe radhe #Khwab Udano ki.


🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏 Radhe Radhe!

Mujhse Judein aur Meri Kahani ka Gawah Banein:

Doston, "Khwab Udano ki" meri wo himmat hai jo maine tinke-tinke jod kar banayi hai. Agar aapko lagta hai ki ek housewife ka dard sacha hai, toh please mujhse judein:

Comment Karein:

 Aapka ek pyara sa comment mujhe shakti deta hai. Kya aapne bhi kabhi apno se wahi dard paya hai jo maine saha?

Share Karein:

 Is awaaz ko har us bahu tak pahucha yein jo khamoshi mein ro rahi hai.

Follow Karein:

 Mere blog ko follow karein taaki meri har udaan aap tak pahuche.

Pichhla Panna (Previous Post):

Agar aapne mera kal ka panna nahi padha, jahan maine apni zindagi ki pyaas aur apno ki berukhi ki baat ki thi, toh neeche diye gaye link par click karein:

👉 Day 66: Pyaasi Zindagi aur Paani ka Sahi Mol

[https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/04/day-66-pyaasi-zindagi-aur-paani-ka-sahi.html]

Kal ka Intezar (Coming Up Next):

Kal main ek aise sach se parda uthaun gi jise likhte waqt aaj bhi mere haath kaanp rahe hain. Ek waqt tha jab main unhe apna sab kuch maanti thi, par aaj haalat wo hain ki..

"Ab Mujhe Tumse Darna Hai"

Mera kal ka post isi topic par hoga. Kyun ek patni apne hi pati se darne lagti hai? 

Janne ke liye kal phir miliye isi mod par.
Radhe-Radhe! Jai Shree Shyam!
Aapki apni,
Khwab Udaanoki


Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath