Posts

Showing posts from February, 2026

Day:28:Shyam Kund ki Mahima aur Aloo Singh Ji ki Virasat: Part 2

Image
 "Doston, kal humne Part 1 mein dekha tha ki Aloo Singh Ji ki bhakti ne kaise Baba ko prasann kiya. Aaj Part 2 mein jaaniye us pavan Shyam Kund aur mandir ki sthapna ka gehra rahasya..." Jai Shree Shyam doston ! Jahan maine katha chhodi thi, aaj wahin se shuruat karti hoon. Baba Shyam ka mandir sirf ek imarat nahi, balki sadiyon purani shraddha ka prateek hai. 1. Mandir ki Sthapna: 1000 Saal ka Safa Baba Shyam ka mandir sabse pehle 1027 AD ( kariban 1000 saal pehle) mein Raja Roopsingh Chauhan aur unki patni Narmada Kanwar dwara banwaya gaya tha. Lekin is mandir ko asli roop aur pehchan tab mili jab Aloo Singh Ji Maharaj ne apni tapasya se Baba ko prasann kiya. Kehte hain ki 1720 AD mein mandir ka punar-nirman (renovation) hua, jismein Aloo Singh Ji ka bada yogdaan tha. Unhone hi Baba ke paavan Shish ko mandir mein vidhivatt sthapit karwaya. 2. Shyam Kund: Jahan Amrit Barasta Hai Shyam Kund wahi jagah hai jahan Mahabharat ke yuddh ke baad, Lord Krishn...

Day 27: Ye Kahani Nahi, Mere Baba ka Sakshat Chamatkar Hai

Image
 Doston, aaj mujhse kuch nahi likha ja raha... Main aaj katha likhne baithi thi, par ye aansu hain ki thamne ka naam hi nahi le rahe. Pata nahi kyun aaj main itna roye ja rahi hoon, bas rona band hi nahi ho raha. Abhi baat karte-karte man itna bhari ho gaya hai ki bas dil Baba-Baba pukaar raha hai. Sach kahun toh mujhe nahi pata main kya likhne baithi thi aur ye kya likha ja raha hai. Bas ek hi sawaal baar-baar aa raha hai—" Baba, mujh jaisi gunahgaar ko kyun chuna?" Main is layak toh katai nahi hoon. Bachpan ka Darr aur Aaj ka Sukoon: Mujhe yaad hai bachpan mein main unki badi-badi aankhon ko dekh kar darr jati thi. Main unhe dekh kar kamra badal leti thi. Main sochti thi ye kaise Bhagwan hain jinka sirf 'Sheesh' hai ? Baki body kahan hai? Kitni nadan thi main... Aaj samajh aata hai ki wo sirf sheesh mein nahi, poori srishti mein hain. Wo mere har dukh, har gusse aur har aansu mein hain. Aaj wahi aankhein jinse main darti thi, mera sabse bada sukoon ban gayi ...

Day:26:Nadi Ki Lehron Se Sinhasan Tak - Baba Ka Khatu Aagman

Image
  "Doston, pichle blog mein humne Baba ke vardaan ke bare mein jaana. Lekin kya aap jaante hain ki sheesh daan karne ke baad aur Kalyug ke Dev banne ke beech ka wo samay kaisa tha? Wah samay tha— Ek anant intezar ka. 1. Yudh ke maidan se nadi ki gehrai tak: Jab Mahabharat ka yudh samapt hua, toh Shri Krishna ne Baba ke us paawan sheesh ko bade prem se ' Rupavati Nadi ' ki lehron ko saunp diya. Wah sheesh saalon-saal, sadiyon tak jal ki gehraiyon mein raha. Yeh humein sikhata hai ki kabhi-kabhi humein apni manjil paane ke liye ek lambe samay tak shant rehkar intezar karna padta hai. 2. Wo gaay aur wo chamatkar : Samay betta gaya aur Kalyug ka aagman hua. Rajasthan ke Khatu gaon mein ek gaay charane wala hairan reh gaya jab usne dekha ki uski ek gaay , jiska naam ' Jiliya ' tha, ek nishchit sthan par jakar khadi ho jati hai aur uske thanon se apne aap doodh ki dhara behne lagti hai. Yeh koi sadharan ghatna nahi thi, yeh sanket tha ki ' Ha...

Kya aapko pata hai Baba Shyam ko kaun-kaun se vardan mile? Chaliye hum aapko batate hain!

Image
  Hath jodkar cahama -yachna: Baba ki mahima  anant hai, main toh bas ek zariya hoon. Yadi mujhse unki katha likhne mein koi bhool ho jaye, toh main hath jodkar🙏🙏   cahama maangti hoon. Ye unki hi kripa hai ki unhone mujhe apni story likhne ke liye chuna. 🙏🙏 1. Sabse Anmol Vardan: ' Shyam ' Naam ka Uphaar Jab Maurvi ke Laal ne apna sheesh Prabhu ke charnon mein arpit kar diya, toh Shree Krishna ne unhe wo diya jo unke paas sabse keem ti tha. Krishna ne kaha, "Hey Veer! Tumne wo tyag kiya hai jo srishti mein koi nahi kar sakta. Aaj se main tumhe apna sabse priya naam ' Shyam ' deta hoon. Yeh naam mujhe meri Radha ne diya hai aur ismein unka atoot prem basa hai. Kalyug mein tum mere hi swarup ' Shyam ' ke naam se pooje jaoge." Vistar: Iska matlab hai ki Baba Shyam aur Krishna ek hi hain. Jo unhe pukaar ta hai, wo swayam Narayan ko pukaar ta hai. 2. Mata Maurvi ka Vachan: 'Haare ka Sahara' ki Shuruat Barbareek jab ghar se nikaln...

Day 24: Sheesh ke Daani ko mila 'Shyam' Naam ka Vardaan

Image
  🙏✨Jai Shree Shyam✨🙏 doston Kal humne dekha tha ki kaise Baba Barbarik ne apna sheesh daan kar diya. Aaj ki katha usse bhi zyada adbhut hai. Jab Krishna ne unka maha-daan dekha, toh wo itne prassanna huye ki unhone Barbarik ko apne gale se laga liya aur kaha— "He Veer ! Tumne jo balidaan diya hai, wo sadiyon tak yaad rakha jayega." Bhagwan Krishna ke Vardaan: Govind ne Baba ko ek nahi, balki kayi vardaan diye: Apna Naam Diya: Krishna ne kaha, " Kalyug mein tum mere naam ' Shyam' se pooje jaoge . Jo meri pooja karega aur jo tumhari pooja karega, use ek hi phal milega." Haare ka Sahara: Krishna ne vardaan diya ki jab koi duniya se haar jayega, dukhi hoga aur tumhare dar par aayega, tum uska hath tham boge. Tum ' Haare ke Sahare' kah laoge. Amar Hone ka Vardaan : Unka sheesh tab tak amar rahega jab tak ye srishti hai. Khatu mein Nivaas : Krishna ne kaha ki kalyug mein tumhara pragat ya Rajasthan ki ' Khatu ' dharti par hoga,...

Day 23 - Jab Toota Pandavon ka Ghamand: Baba Shyam ne bataya Jeevan ka Sabse Bada Sach ✨

Image
    Post Content: ✨🙏 Jai Shree Shyam! 🙏✨ Aaj Day 23 hai. Kal humne katha ko wahan chhoda tha jahan Barbarik (Baba Shyam) ne apna sheesh daan kar diya tha. Par asli chamatkar toh yuddh ke baad hua... ek aisa sach jo aaj hum sabki zindagi ke liye sabse badi seekh hai. Mahabharat ka yuddh khatam ho chuka tha. Pandav khush the, par unki khushi mein ek ' zeher' ghul gaya tha— Ahankaar (Ego). Bheem keh rahe the, ' Meri gada na hoti toh Duryodhan na marta .' Arjun keh rahe the, ' Mere Gandiv ne sab khatam kiya.' Har kisi ko lag raha tha ki ' Maine ' ye yuddh jitwa ya hai. Tab mere Govind (Shri Krishna) muskuraaye... Tab Arjun ne Shri Krishna se poochha—'Aap batao Madhav , yeh yuddh kiske karan jeeta gaya hai?' Tab Shri Krishna ne Arjun se kaha—' Mujhe kya pata Parth, main toh tumhara Rath chala raha tha .' Tab sab Pandavon ne Shri Krishna se poochha ki yuddh ka nirnay kaun karega? Tab Shri Krishna ne kaha ki chalo, use ' She...

Day 22: Sheesh ka daan - jab Bina shareer ke bhi Amar Hua Barbarik ka vishwas!

Image
  "Jo haare hue ko jeeta de, wo hai mera shyam... Jiske dar par jhukta hai zamana, wo hai mera Sheesh ka Daani mahaan!" Jai Shree Shyam dosto! ✨ Aaj meri is diary ka Day 22 hai. Kal humne katha ko wahan chhoda tha jahan Krishna ne Barbarik ka sheesh maang liya tha. Chalo aaj mein aapko wo poora chamatkar vistar se batati hoon. Baba ka mahabalidan aur Amrit ka chamatkar: Barbarik ne bina kisi darr ke apna sar kaat kar Krishna ke charno mein rakh diya. Lekin unka sar katne ke baad bhi wo mrit (dead ) nahi huye. Kyun?  Kyunki unka sankalp aur bhakti pralay se bhi badi thi.  Krishna:kya aap ko pata hai? Krishna ne tab ek bahut bada raaz bataya tha. Unhone kaha—" Barbarik , is dharti par teen hi aise veer hain jinka sheesh kalyug mein mukti ka dwar ban sakta hai. Ek mera , ek Arjun ka, aur ek tumhara." Prabhu ne samjhaya ki wo khud sheesh nahi de sakte kyunki unhe yuddh ka sanchalan karna hai, aur Arjun ko adharm ke vinash ke liye yuddh ladna hai. Tab Barb...

day - 21:Atmanirbhar Banne ka sankalp aur Baba ka saath

Image
  Shayari : "Hawaon ke bharose mat ud, chattane toofano ka rukh mod deti hain. Apne pankhon par bharosa rakh, hawaye toh patango ki takdeer badal deti hain." Intro : Namaste doston! Aaj mere is safar ka 21 day hai. Blog shuru karne se pehle ek choti sa nate main yahan jo bhi likhti hoon, wo mera personal Experience hai. mera maqsad kisi ko judge ya bura dikhana nahi hai. main bas apni himmat aur vishwas hai ki jaise main kisi ko judge nahi karti, waise hi aap mujhe mere halat par judge nahi karenge. Baba ki mahima "Kismat ke maare hain hum, par haste nahi. kyunki mere Baba Shyam hain, toh hum darte nahi. wo rasta bhi dikhate hain aur manzil bhi, bina unki marzi ke hum ek kadam bhi bharte nahi." (i) jab Bhagwan krishna ne Brahman ban kar unse unka sheesh maanga, toh unhone ek pal bhi nahi socha. (ii) Barbareek ne haste-haste apna sar kaat kar prabhu ke charnon mein rakh diya. (iii) unhone sikhaya ki jab aap sachai ke liye sab kuch tyag dete hain, toh kh...

Day:20 Kaun the wo Brahman? Aur Baba ka AnokhaRasta

Image
  Kal ka sawal:- Wo Brahman kaun tha? "Doston, kal maine aapko ek sawal par chhoda tha ki aakhir raste mein Barbareek ko milne wala wo Brahman kaun tha? Wo Brahman koi sadharan vyakti nahi, balki swayam Bhagwan Shri Krishna the. Unhone Barbareek ki pariksha lene ke liye unka rasta roka. Krishna ne kaha:- 'Itne bade yuddh mein ja rahe ho aur paas mein sirf teen teer? Ye toh mazaak hai!' Barbareek ne muskurakar kaha - ' Brahman dev mere liye ye ek hi kaafi hai.' Tab Krishan ne unhe peepal ke ped ki chunauti di aur Barbareek ne apni shakti se har patte ko chhed diya. Krishna samajh gaye ki ye balak agar ' Haare huye' ke saath dega , toh pal bhar mein baazi palat jayegi Meri zindagi ka sach: Madhyam aur Marg Aaj jab main ye likh rahi hoon, toh mujhe apni zindagi Barbareek ki us pariksha jaisi lagti hai. Maine mehsoos kiya hai ki Baba Shyam ke ek tarika hai - Wo pehle Roji dete hain, phir Roti dete hain Wo pehle humein is layak banate hain ki hamara p...

Day-19 Blog: Meri Nayi Pehchaan aur "Haare Ka Sahara" ki Katha

Image
  Date: 18/02/2026 Topic: Meri Udaan aur mere Baba Shyam ka saath Introduction: Kal yani Day 18 mein maine aapse vaada kiya tha ki main apni kismat khud likhungi. Aaj wahi din hai, aur meri is " Khwab Udano Ki" mein mere sabse bade humsafar mere Baba Shyam hain. Aksar log mujhse puchte hain ki aakhir ye Baba Shyam hain kaun? Unhe " Kalyug ka Avtari" kyun kehte hain? " Haare Ka Sahara" kyun maante hain? Aaj se main aapko unke bachpan se lekar unke sheesh ke daan tak ki wo adbhut gatha sunaungi, jisne mujhe girkar sambhalna sikhaya. Katha: Veer Barbareek ka Janm aur Bachpan Mahabharat kaal ki baat hai, jab Pandav putra Bheem ke putra Ghatotkach aur mata Ahilawati (Morvi) ke ghar ek tejaswi balak ne janm liya. Is balak ka naam rakha gaya— Barbareek . Barbareek ke bachpan ki kuch khaas baatein : Asadharan Shakti: Barbareek bachpan se hi bahut balshali aur veer the. Guru aur Shiksha: Unhone astra-shastra ki shiksha apni mata se prapt ki thi. Mata ka V...