Day 23 - Jab Toota Pandavon ka Ghamand: Baba Shyam ne bataya Jeevan ka Sabse Bada Sach ✨

 






 
Post Content:

✨🙏Jai Shree Shyam! 🙏✨

Aaj Day 23 hai. Kal humne katha ko wahan chhoda tha jahan Barbarik (Baba Shyam) ne apna sheesh daan kar diya tha. Par asli chamatkar toh yuddh ke baad hua... ek aisa sach jo aaj hum sabki zindagi ke liye sabse badi seekh hai.

Mahabharat ka yuddh khatam ho chuka tha. Pandav khush the, par unki khushi mein ek 'zeher' ghul gaya tha— Ahankaar (Ego). Bheem keh rahe the, 'Meri gada na hoti toh Duryodhan na marta.' Arjun keh rahe the, 'Mere Gandiv ne sab khatam kiya.' Har kisi ko lag raha tha ki 'Maine' ye yuddh jitwa ya hai.

Tab mere Govind (Shri Krishna) muskuraaye... Tab Arjun ne Shri Krishna se poochha—'Aap batao Madhav, yeh yuddh kiske karan jeeta gaya hai?' Tab Shri Krishna ne Arjun se kaha—'Mujhe kya pata Parth, main toh tumhara Rath chala raha tha.' Tab sab Pandavon ne Shri Krishna se poochha ki yuddh ka nirnay kaun karega? Tab Shri Krishna ne kaha ki chalo, use 'Sheesh ke Daani' ke paas. Phir mere Govind unhe us unchi pahadi par le gaye jahan Baba ka Sheesh viraajmaan tha.

Krishna ne pucha, "He Veer, batao tumne upar se kya dekha? Kaun tha asli yoddha?"

Baba ka sheesh bola:

"He Pandavon! Mujhe toh poore yuddh mein na koi yoddha dikha, na koi hathiyar. Mujhe toh sirf ek hi sach dikha—Charon taraf Govind ka Sudarshan Chakra chal raha tha jo dushmano ko kaat raha tha, aur Maa Kaali apne khappar bhar rahi thi. Karne wale bhi wahi the, karwane wale bhi wahi the. Tum sab toh bas unke hath ke khilaune (nimitt) the."

Mera Aaj ka Deep Ehsaas:

Ye sunte hi Pandavon ka 'Main' (Ghamand) mitti mein mil gaya. Hum bhi apni life mein yahi galti karte hain na? Jab hum mushkil mein hote hain, toh rote hain 'Mere saath hi kyun?'

Par sach toh ye hai... Hamari zindagi ki dor toh us 'Sheesh ke Daani' ke hath mein hai. Hum sirf raste par chalte hain, raasta banane wala toh wahi hai. Jab hum ye maan lete hain ki 'Karne wala mera Shyam hai aur main sirf uska ek zariya hoon', tab zindagi ka sara bojh halka ho jata hai.

Mere Pyare Readers,

Aaj apne dil se puchiye... Kya aap ab bhi wahi 'Main' lekar chal rahe hain? Ya aaj apna sab kuch Baba ke charno mein somp kar nishchint (free) hona chahte hain?

Baba kehte hain:

"Tu karta wo hai jo tu chahta hai, par hota wo hai jo Main chahta hoon. Tu kar wo jo Main chahta hoon, phir hoga wo jo tu chahta hai." ✨

👉 Agar aapne kal ka panna (Day 22 - Sheesh ka Daan) nahi padha hai, toh niche diye link par click karein:

https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-22-sheesh-ka-daan-jab-bina-shareer.html

Shayari:

"Karta toh tu hai, par naam mera hota hai,

Tu kyun darta hai, tera Shyam tere saath hota hai."

Mera Sankalp aur Baba ka Jawab! 🚩🌹

"Aaj subah se hi mere dimaag mein ek khayal chal raha tha ki kyun na is 30 dinon ki diary ko ek E-book ka roop doon? Abhi main is baare mein soch hi rahi thi ki Baba ne ek aisa chamatkar dikhaya jo main kabhi nahi bhoolungi!

Main mandir gayi aur wahan bina maange, bina kisi se kahe, Baba ne mujhe apne shringar ki wo pavitra mala aur gulab dilwa diya jo milna bahut hi durlabh hota hai. Log kehte hain ki Baba sab jaante hain, aur aaj mujhe uska saboot mil gaya. Unhone meri soch par apni khushi ki mohar laga di hai! 💃✨"



Hashtags:

#Jai Shree Shyam #KhatuShyam #Baba Shyam #Sheesh Ka Daani #Day 23 #Khwaab Udano Ki #Zindagi Ke Anubhav #Shyam Baba #Mahabharat #Faith In God #Daily Diary #Life Lessons #Khatu Dham #Hare Ka Sahara #Krishna Kripa

"Agar aapko meri ye kahani pasand aayi ho, toh ise apne doston ke saath share zaroor

 karein." 🙏🌹"

🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏 



🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏 

Aapka ek ek comment mere liye prerna (inspiration) hai! ❤️

Like Karein: Agar aapko aaj ki ye seekh aur Baba ki mahima pasand aayi ho, toh post ko Like zaroor karein. 👍

Comment Karein: Niche box mein 'Jai Shree Shyam' likhkar apni haazri lagayein aur batayein ki aapko ye kahani kaisi lagi. 🙏

Share Karein: Is sacche anubhav aur katha ko apne doston aur pariwar ke saath Share karein taaki Baba ka sandesh sab tak pahunche. 📲

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath