Day:28:Shyam Kund ki Mahima aur Aloo Singh Ji ki Virasat: Part 2
"Doston, kal humne Part 1 mein dekha tha ki Aloo Singh Ji ki bhakti ne kaise Baba ko prasann kiya. Aaj Part 2 mein jaaniye us pavan Shyam Kund aur mandir ki sthapna ka gehra rahasya..."
Jai Shree Shyam doston!
Jahan maine katha chhodi thi, aaj wahin se shuruat karti hoon. Baba Shyam ka mandir sirf ek imarat nahi, balki sadiyon purani shraddha ka prateek hai.
1. Mandir ki Sthapna: 1000 Saal ka Safa
Baba Shyam ka mandir sabse pehle 1027 AD (kariban 1000 saal pehle) mein Raja Roopsingh Chauhan aur unki patni Narmada Kanwar dwara banwaya gaya tha. Lekin is mandir ko asli roop aur pehchan tab mili jab Aloo Singh Ji Maharaj ne apni tapasya se Baba ko prasann kiya. Kehte hain ki 1720 AD mein mandir ka punar-nirman (renovation) hua, jismein Aloo Singh Ji ka bada yogdaan tha. Unhone hi Baba ke paavan Shish ko mandir mein vidhivatt sthapit karwaya.
2. Shyam Kund: Jahan Amrit Barasta Hai
Shyam Kund wahi jagah hai jahan Mahabharat ke yuddh ke baad, Lord Krishna ne Barbarika (Baba Shyam) ke shish ko rakha tha aur unhe vardaan diya tha ki kalyug mein tum mere 'Shyam' naam se pooje jaoge. Isliye is kund ko 'Shyam Kund' kaha jata hai kyunki Krishna ne khud ise ashirwad diya tha.
i) Paatal se Juda Jal:
Maana jata hai ki iska jal kabhi khatam nahi hota. Iska sambandh paatal lok se hai. Jab Baba ka shish pragat hua, toh wahan se nirmal jal ki dhara foot padi thi. Ye jal sirf peene ya nahane ke liye nahi, balki ek aushadhi (dawa) ke rooh mein mana jata hai
.ii) Adbhut Chamatkar 'Baan Stambh':
Kund ke paas hi ek purana Peepal ka ped hai. Kaha jata hai ki Barbarika ne apne ek hi teer se us ped ke saare patton mein ched kar diya tha. Aaj bhi log wahan us shakti ko mehsoos karte hain, aur us Peepal par aaj bhi jo patte nikalte hain unme aaj bhi ched hota hai.
iii) Paap ka Nash:
Kehte hain yahan ki ek dubki 'Ashwamedha Yagya' ke baraabar puny deti hai. Yahan purushon aur mahilaon ke liye alag kund ki maryada hai, jo humein anushasan sikhati hai.
3. Aloo Singh Ji ki Tapasthali
Aloo Singh Ji ne isi kund ke tat par saalo tak tapasya ki thi. Woh kehte the ki dhyan lagate waqt unhe kund ke jal mein Baba ka chehra dikhayi deta hai. Unhone hi Baba ke 'Bhajan' aur 'Sankirtan' ki parampara ko ghar-ghar pahunchaya. Unka manna tha ki Baba murti mein nahi, bhakt ke gaaye geeton mein haste hain.
4. Ek Amar Virasat: Aaj bhi wahi Seva
Doston, kya aap jante hain ki Khatu Dham ka rishta Aloo Singh Ji se kitna gehra hai? Sabse badi baat ye hai ki aaj bhi mandir ki chaukhat par jo pujari seva karte hain, wo Aloo Singh Ji Maharaj ki hi peedhi (vanshaj) se hain. Sadiyon se ye parampara bina ruke chali aa rahi hai. Aaj bhi wahi niyam palan kiye jate hain jo Aloo Singh Ji ne shuru kiye the. Ye Baba ka apne bhakt ko diya hua wo samman hai, jo kalyug mein misaal hai.
5. Diary ka Sach: Mere Man ki EK Baat
Ye sab likhte waqt mujhe ehsaas hota hai ki 'Virasat' aur 'Bharosa' kya hota hai. Kabhi-kabhi mujhe bura lagta hai ki ye sansar kitna matlabi hai. Log tab tak saath hain jab tak unhe kaam hai, aur kaam nikalte hi doodh mein se makkhi ki tarah nikaal dete hain. Mujhe gussa nahi aata, bas dukh hota hai ki main itni buri nahi hoon jitna log mujhe bana dete hain.
Main shayad is duniya ke 'chalaki' wale niyamo ke layak nahi hoon, kyunki main aaj bhi sabko apne jaisa sacha samajhti hoon. Lekin Aloo Singh Ji ki kahani ne mujhe sikhaya ki agar nishana (aim) sahi ho aur Baba ka sath ho, toh ek hi koshish kaafi hai. Aaj mere blog par 392 views ka hona mere liye waisa hi ashirwad hai jaise Shyam Kund ka nirmal jal.
Maine aaj Ureb Skirt ki cutting seekhi—ek ek inch ka anushasan rakha, bilkul waise hi jaise Baba ki bhakti mein maryada honi chahiye. Main jaisi hoon, waisi hi rahungi—Saaf dil aur sachi.
Shayari:
"Doodh mein se makkhi ki tarah nikalne walon ko kya khabar,
Ki main wo raakh hoon jisme abhi bhi chingari baaki hai...
Tumne toh mujhe 'Trial Balance' samajh kar chhoda tha,
Meri kamyabi ka poora 'Bahi-khata' abhi baaki hai!"
Trending tags:
#Motivational hindi #Emotional post #Daily blog #Trend2026 #Inspiring stories #Strong women
🙏🙏Jai Shree Shyama 🙏🙏
Pichli katha padhne ke liye yahan click karein:
[https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-27-ye-kahani-nahi-mere-baba-ka.html]
2. Comments, Like aur Share
Aapko aaj ki katha aur mera hunar kaisa laga?
Kripya niche Comment mein 'Jai Shree Shyam' likhkar apni haazri lagayein. 🙏
Agar aapko ye jaankari acchi lagi, toh ise apne doston ke saath Share zaroor karein. 🌸
Mere is safar se judne ke liye blog ko Follow karna na bhoolein!
"Mere Pyare Pathako (Readers) ke liye ek Chota sa Sandesh:"
"Mujhe dekh kar bahut khushi hoti hai ki aap sab mere blog ka itni besabri se intezaar karte hain. Khaas taur par Twitter se judne wale mere wo dost, jo har roz sabse pehle mera blog padhte hain—aapka ye saath mujhe aur bhi zyada mehnat karne ka hausla deta hai.
Aap sabhi ka dil se shukriya jo mere is bhakti aur hunar ke safar mein mere saath hain. Jai Shree Shyam! 🙏✨"
🙏🙏Jai shree shyam 🙏 🙏





Comments
Post a Comment