Day:20 Kaun the wo Brahman? Aur Baba ka AnokhaRasta

 


Kal ka sawal:- Wo Brahman kaun tha?


"Doston, kal maine aapko ek sawal par chhoda tha ki aakhir raste mein Barbareek ko milne wala wo Brahman kaun tha? Wo Brahman koi sadharan vyakti nahi, balki swayam Bhagwan Shri Krishna the. Unhone Barbareek ki pariksha lene ke liye unka rasta roka.

Krishna ne kaha:- 'Itne bade yuddh mein ja rahe ho aur paas mein sirf teen teer? Ye toh mazaak hai!' Barbareek ne muskurakar kaha - 'Brahman dev mere liye ye ek hi kaafi hai.' Tab Krishan ne unhe peepal ke ped ki chunauti di aur Barbareek ne apni shakti se har patte ko chhed diya. Krishna samajh gaye ki ye balak agar 'Haare huye' ke saath dega, toh pal bhar mein baazi palat jayegi

Meri zindagi ka sach: Madhyam aur Marg

Aaj jab main ye likh rahi hoon, toh mujhe apni zindagi Barbareek ki us pariksha jaisi lagti hai. Maine mehsoos kiya hai ki Baba Shyam ke ek tarika hai - Wo pehle Roji dete hain, phir Roti dete hain

Wo pehle humein is layak banate hain ki hamara pet bhare, hamari zaruratein poori hon. Aur jab hum thode saksham ho jate hain, tab wo humein apne 'madhyam' (medium) banate hain. Wo kabhi nahi kehte ki unka gungaan karo, lekin wo humein itna kuch de dete hain ki hamara dil khud-ba-khud unki mahima gaane se ruk hi nahi pata. Aaj main is mobile par baithkar jo likh rahi hoon, ye unhi ka banaya hua rasta hai.

Mera Vishwas aur meri privacy

Main aaj ek dharm-sankat mein hoon, dushwariyan bahut hain, rasta dhundhla hai. Lekin mere hausle sirf do cheezon par tike hain - mere Baba ka saath aur ek saccha shakhs jo mere saath khada hai. Main kahan se hoon, mera parivar kaun hai - ye batana abhi zaruri nahi hai. Zaruri ye hai ki mera kaam aur mera vishwas duniya ke har kone tak pahuche. Main chahti hoon ki meri ye kahani global ho, har bhasha mein padhi jaye. Isliye maine blog par translate button lagaya hai."

Aapka Shukriya

"Doston, sara din kaam me busy hone ke beech jab main ye likhti hoon, toh aapka saath mujhe himmat deta hai, meri is chhoti si duniya ka hissa banne ke liye Thank you!

Kal hum dekhenge ki Krishna ne Barbareek se kya maanga... ek aisi cheez jo koi soch bhi nahi sakta tha.

Jai Shree Shyam!

Aapki 'Khwab udano ki'"

Shayari:-

1) Baba ki mahima

"Kismat ke maare hain hum, par haarte nahi.

Kyunki mere Baba Shyam hain toh hum darte nahi.

Wo rasta bhi dikhate hain aur manzil bhi,

Bina unki marzi ke hum ek kadam bhi bha

rte nahi."

#Baba shyam #KhatuShyam #Mahabharat #Day 20 #KhwabUdanoKi #Shyam baba #Motivation




 🙏🙏 Jai shree shyam 🙏🙏

Mujhse Judein aur Support Karein:

Agar aapko mera ye sangharsh aur safar pasand aa raha hai, toh:

💬 Comment karke apni rai zaroor dein aur batayein ki aapko kaisa laga.

❤️ Is blog ko Like karein aur apne doston ke saath Share karein.

📩 Mujhse judne ke liye aap mujhe Twitter (X) par DM kar sakte hain.

🔔 Mere blog ko Follow zaroor karein taaki kal ka naya panna aap miss na karein.

👉 Day 19: Barbareek Se Baba Shyam Tak Ka Safar

https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-19-blog-meri-nayi-pehchaan-aur.html?m=1

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath