Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath







 🙏🙏 Jai shree shyam 🙏🙏

Doston,

Aaj ka din mere liye ek naya janm lene jaisa hai. Aaj jab main subah uthi aur apne Laddu Gopal ki seva karne baithi, toh mann mein ek ajeeb si shanti thi.

Roz ki tarah aaj bhi maine unse laad ladaaya, unhe taiyar kiya, par aaj kuch alag tha. Jab maine unhe unki pyari bansuri pakda yi, toh unhone ek hi baar mein usey thamm liya.

Mere liye ye sirf ek pal nahi tha, ye mere Sanvariya Seth ka ek bada sanket tha ki "Ab darr mat, tera hath maine pakad liya hai."

Aksar hum ladkiyan zimmedariyon ke beech apne sapne kahin dabba deti hain. Log kehte hain ki bina kisi bade sahare ya badi degree ke kuch nahi ho sakta.

Lekin aaj main un sab baaton ko piche chhod kar aage badh rahi hoon. Maine ye tay kiya hai ki main apne hausle aur apni mehnat se ek naya itihas likhungi.

Mera vishwas hai ki agar niyat saaf ho aur mehnat sacchi ho, toh upar wala khud rasta banata hai.

Mera Ek Maha-Sankalp hai...

Mera maqsad sirf paisa kamana nahi hai. Mera ek bahut bada sapna hai—apne gaon mein Baba Shyam aur Sanvariya Seth ka ek aisa bhavya mandir banwana, jahan har dukhi dil ko sukoon mile.

Ek aisa darbar jahan koi bhi khaali hath na jaye. Log mujhse puchte hain ki itna bada sapna kaise poora hoga?

Mera jawab sirf itna hai ki jab mera "Sanvariya" mera partner hai, toh duniya ki koi takat mujhe rok nahi sakti.

Meri Diary, Meri Asli Taqat:

Pichle 37 dino se maine apni diary mein jo kuch bhi likha hai, wo sirf shabd nahi hain. Wo meri zindagi ka nichod hain, meri himmat aur meri umeed hain.

Maine un sab panno ko samet kar ek eBook ka roop diya hai. Ye eBook har us ladki ke liye hai jo apni zindagi mein ek nayi shuruat karna chahti hai, par darti hai.

Main chahti hoon ki meri kahani se unhe wo hausla mile jo mujhe aaj mehsoos ho raha hai.

Main aaj ek naye ghar, ek nayi pehchan aur ek naye mukam ki dehleez par khadi hoon. Duniya kya kehti hai, kisne kya sunaya, ab un sab baaton se mujhe fark nahi padta.

Mera rasta ab tay ho chuka hai. Main ab "Gumnaam" reh kar apna kaam karungi, kyunki main chahti hoon ki mera kaam shor machaye, mera naam nahi.

Jab main apni manzil par pahunchengi, tab duniya khud jaan jayegi ki ek  akeli ladki ka hausla kya kar sakta hai.

Aakhir mein bas itna hi kahungi:

"Manzil milegi, bhatak kar hi sahi, gumrah toh wo hain jo ghar se nikle hi nahi."

Mere Baba Shyam aur mere Laddu Gopal mujh par apni kripa banaye rakhein. Aaj se meri jeet ka safar sahi mayne mein shuru hota hai.




Jai Shree Shyam! Sanvariya Seth ki Jai!


Shayari

"Khudi ko kar buland itna, ki har takdeer se pehle,  Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai!"

Hashtags#

#Jaishree shyam

#MeriDiary2026

#Sapno ki udaan

#Gumnaam safar

#Sanvariya seth

Pichhla Safar Padhne ke Liye Yahan Click Karein:

👉 Day 36: 36https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/03/day-36-kya-puja-ke-liye-niyam-zaroori.html

Doston, Agar Meri Kahani ne Aapke Dil ko Chhua Hai, Toh:

Like Karein: Agar aapko meri himmat pasand aayi.

Comment Karein: Bataiye ki aapka kya sapna hai? Main aapke har sawal ka jawab dungi.

Share Karein: Apni un saheliyon aur doston ke saath, jo aaj bhi apne sapno se darte hain.


Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab