Day 24: Sheesh ke Daani ko mila 'Shyam' Naam ka Vardaan
doston Kal humne dekha tha ki kaise Baba Barbarik ne apna sheesh daan kar diya. Aaj ki katha usse bhi zyada adbhut hai. Jab Krishna ne unka maha-daan dekha, toh wo itne prassanna huye ki unhone Barbarik ko apne gale se laga liya aur kaha— "He Veer! Tumne jo balidaan diya hai, wo sadiyon tak yaad rakha jayega."
Bhagwan Krishna ke Vardaan:
Govind ne Baba ko ek nahi, balki kayi vardaan diye:
Apna Naam Diya: Krishna ne kaha, "Kalyug mein tum mere naam 'Shyam' se pooje jaoge. Jo meri pooja karega aur jo tumhari pooja karega, use ek hi phal milega."
Haare ka Sahara: Krishna ne vardaan diya ki jab koi duniya se haar jayega, dukhi hoga aur tumhare dar par aayega, tum uska hath tham boge. Tum 'Haare ke Sahare' kah laoge.
Amar Hone ka Vardaan: Unka sheesh tab tak amar rahega jab tak ye srishti hai.
Khatu mein Nivaas: Krishna ne kaha ki kalyug mein tumhara pragat ya Rajasthan ki 'Khatu' dharti par hoga, jahan tumhara sabse pavitra darbar sa jega.
Mera Aaj ka Ehsaas (24 Tarikh):
Doston, ye vardaan sunkar man ko kitni shanti milti hai na? Jab Bhagwan khud kisi ka hath thamb lein, toh phir darr kaisa? Main bhi apni zindagi mein har din yahi mehsoos karti hoon. Jab main mehnat karti hoon, toh mujhe pata hota hai ki mere Baba mere saath hain.
Meri Pyaari Global Family (367 Views!) ka Shukriya:
Aaj 24 tarikh ko jab main apne blog ke views dekhti hoon, toh mujhe lagta hai Baba ke vardaan ki kripa mujh par bhi ho rahi hai. Mere is chote se blog ko United States, Germany, aur Canada se itna pyar mil raha hai! 367 views mere liye sirf ek ginti nahi, aap sabka vishwas hai. Aap sab ne meri is family ko itna bada banaya, uske liye dil se shukriya.
Aaj ki Special Shayari:
"Maanga tha vardaan unhone, Govind ne apna naam diya,
Sheesh ke daani ko kalyug ka, sabse bada makaam diya!"
"Mere views nahi, ye aapka pyar hai jo videshon se baras raha hai,
Aap sabka sath hai, toh mera har din khushiyon se mehka raha hai!"
Doston, kal hum dekhenge ki Baba ka sheesh Khatu mein kaise pragat hua. Aaj ke liye itna hi,
🙏🙏Jai shree shyam!🙏🙏
🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 ✨
Pichla Blog (Previous Post):
👉 [Kalyug ke Devta: Baba Shyam ka Maha-Daan](https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-23-jab-toota-pandavon-ka-ghamand.html)
Doston, aaj ki katha kaisi lagi?
Plz Like karein aur Comment mein 'Jai Shree Shyam' zaroor likhein! Aapke comments se mujhe bahut himmat milti hai. 🙏
Hashtags:
#Jai Shree Shyam #KhatuShyam #Haare Ka Sahara #Sheesh Ke Daani #Vardaan #Mera Vishwas #367Views #Khwab Udano Ki






Comments
Post a Comment