Kya aapko pata hai Baba Shyam ko kaun-kaun se vardan mile? Chaliye hum aapko batate hain!
Hath jodkar cahama -yachna:
Baba ki mahima anant hai, main toh bas ek zariya hoon. Yadi mujhse unki katha likhne mein koi bhool ho jaye, toh main hath jodkar🙏🙏 cahama maangti hoon. Ye unki hi kripa hai ki unhone mujhe apni story likhne ke liye chuna. 🙏🙏
1. Sabse Anmol Vardan: 'Shyam' Naam ka Uphaar
Jab Maurvi ke Laal ne apna sheesh Prabhu ke charnon mein arpit kar diya, toh Shree Krishna ne unhe wo diya jo unke paas sabse keem ti tha. Krishna ne kaha, "Hey Veer! Tumne wo tyag kiya hai jo srishti mein koi nahi kar sakta. Aaj se main tumhe apna sabse priya naam 'Shyam' deta hoon. Yeh naam mujhe meri Radha ne diya hai aur ismein unka atoot prem basa hai. Kalyug mein tum mere hi swarup 'Shyam' ke naam se pooje jaoge."
Vistar: Iska matlab hai ki Baba Shyam aur Krishna ek hi hain. Jo unhe pukaar ta hai, wo swayam Narayan ko pukaar ta hai.
2. Mata Maurvi ka Vachan: 'Haare ka Sahara' ki Shuruat
Barbareek jab ghar se nikalne lage, tab unki mata Maurvi ne unse ek kathin vachan maanga tha. Maa ne kaha tha—"Hey putra! Raste mein jo bhi tumse sahayata maange, use kabhi mana mat karna, aur humesha usika saath dena jo yuddh mein haar raha ho." Maa ke isi vachan ko nibhane ke liye Barbareek ne haare hue ka saath dene ka nirnay liya, aur tabhi se poori duniya unhe "Haare ka Sahara" ke naam se pukarti hai.
3. 'Lakha dataar' aur 'Neela Ghoda' ki ShaktI
Baba ke paas unka Neela Ghoda pehle se hi tha, jo unki divya shaktiyon ka prateek tha. Unhe 'Lakha dataar' isliye kaha jata hai kyunki unke darbar se koi khali hath nahi laut-ta. Unka Neela Ghoda itni tezi se chalta hai ki wo pal bhar mein apne bhakt ki pukaar sunkar uske paas pahunch jaate hain. Chahe koi kitna hi dukhon mein ghira ho, agar wo sache dil se unki chaukhat par gir jata hai, toh Baba use thukrate nahi, balki apni kripa se 'lakhon' khushiyan bakhsh dete hain.
4. Vidhaata ka Lekh Palatne ki Takat
Baba Shyam ko wo adhikar prapt hai jo kisi aur ke paas nahi. Shree Krishna ne kaha, "Hey Barbareek! Main bhagya (destiny) likhta hoon, par main tujhe vardan deta hoon ki agar koi sab jagah se thokar khakar tere dar par aa jaye, toh tu mera likha hua bhagya (kismat) bhi palat dena. Teri daya meri kalam ke likhe dukh ko bhi sukh mein badal degi."
5. Kalyug ke Prabhav se bhi Bada 'Shyam' ka Prabhav
Yeh aaj ke samay ki sabse badi sachai hai. Shree Krishna ne Barbareek ko vardan diya tha: "Hey Barbareek! Jaise-jaise Kalyug badhega aur paap badhenge, tumhara prabhav bhi usse kahin zyada tezi se badhega. Ek samay aisa aayega jab har ghar mein tumhari puja hogi."
Vistar: Aaj hum wahi dekh rahe hain—har ghar, har gali mein "Jai Shree Shyam" ki goonj hai. Ye unke vardan ka hi pratap hai ki aaj log apne aap unki taraf khiche chale aa rahe hain.
Mera Personal Anubhav (Dil ki Baat):
"Sab jaante hain ki Baba mahaan hain, par phir bhi main apni story suna rahi hoon kyunki maine unki daya ko mehsoos kiya hai. Main toh khud ko paapi yo ki ginti mein upar maanti thi, par mere Baba ki karuna toh dekhiye... unhone mujh jaise tuchh insaan ko chuna apni kahani likhne ke liye. Jab unka vardan itna shaktishali hai ki wo swayam Bhagwan ka likha bhagya badal sakte hain, toh hum kyun darein? Wo sach mein 'Lakha datar hain!" 🥹🙏
Blog ke liye Special Note:
"Doston, aaj ka ye adhyay (chapter) likhna mere liye sabse mushkil tha. Jo diary main roz 1 ghante mein bhar deti hoon, aaj use likhne mein mujhe 3 se 4 ghante lag gaye. Mere hath thithak rahe the, dil ghabra raha tha aur saans upar-neeche ho rahi thi. Shayad Baba mujhe mehsoos kara rahe the ki unke varda no ka mol kya hai. Aaj maine shabdon se nahi, apne aansuon aur tadap se ye katha likhi hai." 🥹🙏
#Shyam Ki Mahima
#Kalyug Ke Devta
#Kismat Palatne Wala
#Baba Ka Ashirwad
#Mourvi Ke Laal
Kalyug aur Haare ka Sahara:
"Kalyug ke andhkar mein wo roshni ban kar aate hain,
Jo kahi nahi rukte, wo mere 'Neele' par chad kar aate hain.
Duniya thukra de toh ghabrana mat mere dost,
Kyun ki jahan sab raste khatam hon, wahan se 'Shyam' shuru hote ha
in!"
Comment Karein: Aaj ki katha aapko kaisi lagi? Comment mein 'Jai Shree Shyam' likhkar apni haazri zaroor lagayein. 🙏
Follow Karein: Mere blog ko follow karein taaki kal ka adhyay (chapter) aapse miss na ho.
Like & Share: Is katha ko apne doston aur pariwar ke saath share karein, kyunki Baba ki mahima baantne se hi badhti hai.
Link👇
https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-24-sheesh-ke-daani-ko-mila-shyam.html
👉 Kal ka Adhyay: Baba Shyam ki Mahima - Part 2
🙏🙏 Jai shree shyam 🙏🙏







Comments
Post a Comment