Day:8:Mera samaj se sawal:- Kya Aurat Hona Hi Sabse Badi Saza Hai (Part 2)
Ek aurat jo ghar ki neev hai uske saath ye bhed-bhav kyon? Jo mard bahar mandir mein jhukte hain, wo ghar aakar shaitan kyon ban jaate hain? Kya ek aurat ka hona hi sabse badi saza hai?
1. Himmat aur khamoshi :-
Meri khamoshi ko meri kamzori mat samajhna, main seh rahi hoon kyunki mere sanskar bade hain. Par yaad rakhna, jis din main bikhrungi, us din tumhari duniya sametne wala koi nahi hoga.
2. khud ki pehchan
Main maa hoon, main beti hoon, main ghar ki shaan hoon. Main koi khilona nahi, main bhi ek insaan hoon. Mere sapno ki udaan ko tum rok nahi paoge, kyunki ab mere saath mere 'Shyam' ka aashirwad hai.
3. Samaj ke dohre chehre:-
Bahar jo mandir mein jhukkar dua maangte hain, ghar aakar wahi apnon par haath uthate hain. Aise dogle samaj ko ab aaina dikhana hai, 'Khwab Udano Ki' ko ab sach kar dikhana hai.
Ending note:-
Ab aur nahi sahen gi ye betiyan zulm tera, har andheri raat ke baad aata hai naya savera. Meri udaan ab kisi ki mohtaj nahi hai!
About the Author:-
Main ek aam ladki hoon jo apne Khwabon Ki Udaan shuru kar rahi hai. Mere shabd mere dil ka dard aur meri himmat ka aaina hain. Agar aapko meri baatein sahi lagein, toh comment karke zaroor
batayein
🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏



Comments
Post a Comment