Day:15:Mere Baba Shyam Ka Chamatkar Aur Unka Apaar Prem 🚩🍀

 


Jai shree shyam! Mere pyaare Laddu Gopal ki jai! 🍀

Doston, aaj mere blog safar ka 15 wa din hai. Aaj main aap sabse apne dil ki ek bahut hi gehri aur sachhi baat share karna chahti hoon.

Main koi bahut badi bhakt nahi hoon, aur na hi mujhe bahut zyada puja-path ki vidhi-vidhan aata hai. Sach kahun toh mujhe kuch bhi nahi aata, bas jo thoda bahut banta hai main pure dil se kar leti hoon. Lekin mere Baba Shyam aur mere Laddu Gopal itne meherbaan hain ki wo ye nahi dekhte ki main kaise puja kar rahi hoon, wo bas meri bhavna on ko samajhte hain aur unhe swikar karte hain ✨💜

Kal ka ek sachha Chamatkar

 Iska sabse bada saboot mujhe kal mandir main mila. Maine Baba se sirf ek mor pankh manga tha, lekin unhone meri thali umeed se zyada bhar di. Pandit ji ne mujhe mor pankh ke saath saath ek sundar lal Gulab bhi diya 🌹✨

Mujhe aisa laga jaise mere Baba keh rahe hoon- "Beti, tujhe kuch aaye ya na aaye, tere bhav mujh tak pahunch rahe hain aur main hamesha tere saath hoon."

Shayari:-

"Na koi niyam jaanti hoon, na puja ki koi vidhi,

Bas mere Baba ki kripa hi hai meri asli siddhi." ✨🍀

Karta sab mere Baba shyam hai,

Mera toh bas naam ho raha hai... ✨🙏

Doston agar aapka mann saaf hai aur vishwas saccha hai, toh Baba bin mange hi sab kuch de dete hain. 'Khwab udano ki' ka ye safar unhi ke charnon mein arpan hai.



 Tags:#khatushyamji #Laddu Gopal #Day 15 #My Miracle #Baba Shyam #Faith #Jai Shree Shyam #Khwab Udano Ki

🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏 

Follow Karein:

 Mere naye posts ke liye blog ko subscribe zaroor karein.

💬 Comment:

 "Jai Shree Shyam" likh kar apni haazri lagayein.

📢 Share

Agar accha laga toh doston ke sath share zaroor karein:

Mera Pichla Safar Yahan Dekhein:

Day 14 Laddu Gopal ki Kripa aur Mera Hausla

👇

https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/02/day-14-ekadashi-special-chamatkar-mere.html

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath