Day 31: March 3:Mere Shyam ka 'Safar' aur Ek Aurat ka 'Sabar' ✨
Bhumika (Introduction):
Aaj ka din mere liye sirf ek din nahi, ek naya mod hai. Day 30 tak humne Khatu ki mahima ko jana, par Day 31 mere liye us vishwas ki kahani hai jo ek aurat ko tab milta hai jab uska sab kuch bikharne ki kagar par hota hai. 10 saal pehle jo khamoshi shuru hui thi, aaj wo Baba Shyam ki kripa se 'Shabad' ban gayi hai.
Main Kahani (The Deep Connect):
Dosto, khte hain Baba Shyam 'Hare ka Sahara' hain. Par wo sirf hare huye ka sahara nahi, wo un toote huye sapno ke bhi malik hain jinhe duniya kachra samajh kar phek deti hai. Ek aurat ka dard bhi bilkul vaisa hi hai—wo sab kuch sahti hai, sab kuch qurban karti hai, bilkul Barbarika ki tarah jinhone ek vachan ke liye apna sheesh daan kar diya.
Maine bhi 10 saal tak apne dard ka balidaan diya. Par Baba ne sikhaya ki jiska koi nahi hota, uska 'Khatu wala' hota hai. Aaj jab mere blog par 480 log mere saath jud chuke hain, toh mujhe ehsas hota hai ki mera har ek aansu Baba ke darbar mein gina ja raha tha. Mera 'Sapno ka Ghar' sirf eint- pathar ka nahi, unki kripa ka ghar hai.
Aage ka Sankalp (The Future):
Abhi kahani khatam nahi hui hai. Abhi toh mujhe us 'Aurat ke Dard' ko panno par utarna hai jise log aksar dekh kar bhi andekha kar dete hain. Mera bahi-khata ab khul chuka hai, aur ab isme sirf kamyabi ki dastan likhi jayegi.
🌸 Shayari 🌸
"Zindagi ki dhoop mein jab koi saaya na mila,
Tab Khatu ki mitti mein mujhe thikana mila...
Log puchte hain meri kamyabi ka raaz kya hai,
Maine kaha, mujhe toota dekh kar hi, mere Shyam ko mujh par
pyar mila!"
Tags: #Day 31 #Baba shyam #Aurat ka dard #Mera safar #Jaishree shyam
"Safar Abhi Jaari Hai..."
🌸 Mere Pyare Pathako (Readers) ke Liye 🌸





Comments
Post a Comment