Day :39 Galti Meri Hi Thi: Ek Khamosh Cheekh

 Zindagi ne aaj mujhe us mod par lakar khada kar diya hai jahan charo taraf andhera hai. Log puchte hain ki ye haal kaise hua? Main kehti hoon—Haan, galti meri hi thi.






🥀 Banjar Zameen Par Phool Khilaye

Galti meri hi thi ki maine rishton ko siyasat (politics) se nahi, balki sacche dil se nibhaya. Haan, galti meri hi thi ki maine un dalo-dalon mein phool khilane ki koshish ki jahan salon ki karvata bhari thi. Mujhe laga tha ki mera apnapan barson ki nafrat ko dho dega, par main bhool gayi thi ki kuch zameenein itni banjar hoti hain ki wahan kitna bhi sukoon bo lo, sirf kaante hi ugte hain.

Haan, galti meri hi thi... ki koshish se phool khilaya bhi aur mujhe hi nikal diya gaya.

🤐 Maun Jo Fanda Ban Gaya

Maine har mod par dusron ki jaruraton ka khayal rakha, har maang puri ki, lekin apni pehchan ko kahin peeche chhod diya. Haan, galti meri hi thi ki maine us insaan ki ijjat bachane ke liye apne apno tak se sach chhupaya, taaki ghar ki baatein bahar na jayein. Mujhse kaha gaya ki batana 'chugli' hota hai, aur maine maun (silence) dharan kar liya. Aaj wahi maun mere gale ka fanda ban gaya hai.

Haan, galti meri hi thi.

🍱 Do Waqt Ki Roti Aur Ehsaan

Galti meri hai ki maine unhe apni aukat se zyada diya jinhone meri qadar kabhi nahi ki. Haan, galti meri hi thi ki jab mujhe kapda lakar diya gaya toh jataya gaya, jab do waqt ka khana bhi mila toh uske liye sunaya gaya. Har chhoti cheez ke liye ehsaan jataya gaya, aur main... main sab sehti rahi. Kyunki mujhe laga tha ki ek din sab thik ho jayega.


Haan, galti meri hi thi.

🔥 Ek Masoom Ladki Se 'Buri Aurat' Tak

Mujhe khud se ghin aati hai ki main itni kamzor kaise ho gayi? Haan, galti meri hi thi. Aaj meri aankhon mein bechaini hai aur dil mein ek aisi aag hai jo mujhe andar hi andar jala rahi hai. Main woh ladki thi jo ek chinti ko marne se darti thi, par aaj itni dard mein hoon ki mere khayal bhi kadve ho gaye hain.


Log kehte hain main buri hoon. Main accept karti hoon—main bahut buri hoon. Kyunki maine khud ko mita kar dusron ko banane ki koshish ki. Is narak ka zimmedaar main sirf khud ko manti hoon, kyunki maine unhe ijazat di ki wo meri rooh ko raund sakein.

Haan, galti meri hi thi.

💔 Meri Shayari: Aukat Ka Sach

"Maine toh har rishta rooh se nibhaya tha,

Unki aukat se zyada unhe sar par bithaya tha.

Aaj wahi log mujhe nishana banate hain,

Jinke liye maine apna har sapna jalaya tha."

👣 Sawal Jo Adhoora Hai...

Ab mujhe nahi pata ki ujala kab aayega, ya mera khud ka thikana kab hoga. Haan, galti meri hi thi. Paise kama paungi ya nahi, badi blogger banungi ya nahi... mujhe kuch nahi pata. Bas itna pata hai ki ye dard ab meri taqat banega.

Sawal ye nahi ki unhone kya kiya, sawal ye hai ki—Galti kiski thi? Meri, jo had se zyada jhuk gayi? Ya unki, jinhone mere jhukne ka fayda uthaya?

⚠️ Ek Zaroori Note:

"Main abhi lad rahi hoon, lekin kab tak ladungi pata nahi. Jis din is akeli jaan ka samne public hona band ho jaye, tab samajh lijiyega ki main ab is duniya mein nahi rahi. Samajh lijiyega ki main sabse aur khud se sawal puchte-puchte ab shant ho gayi hoon. Mujhe pata nahi ab kab tak likh paungi,

 mujhe kuch nahi pata."




Meri Shayari: 

"Maine toh har rishta rooh se nibhaya tha,

Apni aukat se zyada unhe sar par bithaya tha.

Koshish se phool khilaye un banjar zameeno par,

Par badle mein unhone mujhe hi nikal diya jahan maine ghar banaya tha."

Hashtags#

#GaltiMeriHiThi #RoohaniBaatein #MeraSafar #Hausla #KhamoshCheekh #Zindagi #Himmat #BrokenButStrong #MyStory #NewPost

🙏🙏 Jai shree shyam 🙏 🙏 

Zaruri Baat: Doston, agar aapko meri ye sacchi kahani pasand aayi ho, toh please Like karein aur Comment karke mujhe batayein ki aapko kaisa laga. Aapka ek share meri himmat badha sakta hai.

Pichla Blog (Day 38) padhne ke liye yahan click karein:

 [https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/03/day-38-maangna-nahi-haq-jatana-seekho.html]

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath