Day:84"Dard Se Jeet Tak Ka Safar": Baba Ne Takdeer Badalne Ka Ishara Kar Diya
🙏🙏Jai shree shyam Jai sanvariya Seth Radhe Radhe 🙏🙏
Namaste doston!
Aaj main jo likh rahi hoon, wo sirf shabd nahi, mere dil ke gehre jazbaat hain. Jab maine ye blog shuru kiya tha, tab iska headline tha—"Dard Se Jeet Ka Safar". Us waqt zindagi mein sirf dukh aur dard tha, par aaj 84 dinon ke andar-andar Baba ne mujhe Khatu Dham bula kar ye dikha diya ki meri "Jeet" ki shuruat ho chuki hai. Log kehte hain ki 23 saal mein jo nahi hua, wo Baba ne mere sirf 3 mahine ke gungan aur nishkam bhakti se kar dikhaya.
Mata-Pita Ki Khushi: Meri Sabse Badi Kamayi
Is yatra ne mujhe wo sukoon diya hai jo duniya ki koi daulat ya AdSense ka paisa nahi de sakta. Maine apne mata-pita ko Baba ke darshan karwaye. Papa bar-bar keh rahe hain, "Maine kabhi nahi socha tha ki is umar mein dobara darshan kar paunga," aur mummy ki aankhon mein khushi ke aansu ruk hi nahi rahe. Ek beti ke liye isse badi kamayi aur kya hogi ki wo apne maa-baap ke chehre par wo sukoon dekh sake? Unki duaon ne hi meri raah aasan ki hai.
Baba Se Woh 'Haq' Wala Samvaad
Maine hotel room mein akele baith kar Baba se ek zidd ki, ek beti wala haq jataya. Maine kaha—"Baba, abhi toh main 20-20 ke note ginke kharch karti hoon, par aisa din la ki mere purse mein 500 ki gaddiyan hon. Main jitna chahoon kharch karun, jitna chahoon logon ki madad karun, aur mujhse koi sawal karne wala na ho." Ye lalach sirf paise ke liye nahi hai, balki us azadi ke liye hai jahan main bina kisi ke samne hath phi-laye sabki seva kar saku.
"Tumhari Tasvir, Meri Takdeer": Baba Ghar Chal Rahe Hain
Mera koi plan nahi tha Murti lene ka, par Baba ne khud apna rasta chun liya. Aaj main unka ek sundar swaroop, vastra, bansuri aur morpankh lekar ghar laut rahi hoon. Maine unse nazar milakar sirf ek hi baat kahi hai—"Baba, tumhari ye tasvir meri takdeer badal de, par meri takdeer mein tumhara saath aur tumhara hath kabhi mere sar se na hate." Mujhse jo ban pada maine kiya, ab baaki ka rasta wo khud banayenge.
Maine Baba ko ye bhi keh diya—"Baba, mere paas aansuon ke siva aapko chadhane ke liye aur kuch bhi nahi hai. Main khud ko aap par nich-havar karti hoon. Ab aap chaho toh mujhe apne paas bulao ya mera kaam banao, jo aapki marji hogi, wahi mujhe kabool hai."
Sujangarh Se Station Tak: Ek Anokha Ehsas
Salasar se nikal kar jab hum Sujangarh (Rings) pahunche, toh wahan Venkatesh Bhagwan aur Vitthal Bhagwan ke darshan ka saubhagya mila. 1 baje se lekar raat tak hum wahin mandir ke sukoon mein rahe. Ab main platform par baithi hoon aur train ka intezar kar rahi hoon. Thodi der pehle bhaiya ne kaha—"Yahin ghar bana lo." Mere dil ne kaha—Tumhare muh mein ghee-shakkar! Kaash unki chaukhat par hi mera thikana ho jaye.
Dukh Se Sukh Tak Ka Safar
Main ye blog 2020 se ek digital diary ki tarah likh rahi thi, par Baba ki asli mahima 31 January se shuru hui. Jab hum yahan aate hain, toh dil bojh se bhara hota hai, par jate waqt wo dukh kaise hawa ho jata hai, ye koi nahi jaanta. AdSense reject ho ya Google nakhre kare, mujhe ab koi parwah nahi. Jab 'Hare ka Sahara' saath ho, toh jeet pakki hai.
📊 Aaj ki Yatra Ke Kuch Pal (Summary)
Spiritual Peace: 1 00% 😇
Darshan: Khatu Shyam, Salasar Balaji, Venkatesh Bhagwan ✨
Status: Moving towards home with Baba 🏠🚩
#KhatuShyam #Jaishree shyam #Salasar balaji #Venkatesh mandir #Khwab Udano ki #Daughter Pride #Faith #Miracle #Takdeer #Hare Ke Sahare
Note: Doston, yatra mein samay ki thodi pabandi thi isliye updates thode late ho gaye. Uske liye maafi chahti hoon, par mera vishwas ab pehle se kahin zyada mazboot hai. Saath bane rahiye!
✨ Dil ki Baat: Ek Majburi aur Ek Ummeed
"Maine socha tha ki is baar jab lautungi, toh raste saaf honge. Sapna tha ki Google AdSense approve ho jayega aur main din-raat apne is blog 'Khwab Udaanoki' par mehnat karke apni alag pehchan banaungi. Par shayad abhi Baba aur pariksha lena chahte hain. Kal se mujhe wapas wahi naukri par jana hoga, wahi majburiyan hain... par ab farq sirf itna hai ki mera hath mere Baba ne thama hua hai. Rasta abhi dhundhla hai, par mujhe pata hai ki mera Sanvariya Seth sab thik kar dega."
🔗 Meri Pichli Yatra (Zarur Padhein)
Agar aapne meri yatra ke pichle dinon ka anubhav nahi padha, toh niche diye gaye link par click karein:
👉 Day 83: Tu Jaane Tera Kaam Jaane - Khatu Shyam Darshan
[https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/04/day23-tu-jaane-tera-kaam-jaane-khatu.html]
📢 Ek Choti Si Appeal
Like ❤️: Agar aapko meri ye sacchi kahani aur mera vishwas pasand aaya ho.
Comment ✍️: Comment mein "Jai Shree Shyam" likhkar mera hausla zarur badhayein. Aapka ek comment mujhe himmat deta hai.
Share 📲: Ise apne doston aur pariwar ke sath share karein, shayad kisi aur rote hue ko bhi Baba ki kripa se umeed mil jaye.
🔥 Aaj Ki Prerna (Shayari)
"Manzilein mile na mile, ye toh muqaddar ki baat hai,
Main koshish hi na karun, ye toh galat baat hai.
Majburiyan rok lengi mera rasta thodi der ke liye,
Par mere Baba saath hain, ye sabse ba
di baat hai!"






Comments
Post a Comment