Log puchenge main itna sab kaise likh leti hoon? Day 68




 Ab Bardasht ke Bahar Hai... Asli Chehra Samne Aayega"

 🙏🙏 Jai shree shyam Radhe Radhe! 🙏🙏

Aaj Day 68 hai. Aaj subah jab maine Laddu Gopal ka singaar kiya, toh mann mein ek khayal aaya. 

Aksar log mujhse puchenge ki 'Tumhare blog par itna bhat kaav kyun hai? Kabhi tum dard likhti ho, toh kabhi hair care aur skin care ki baat.'

Aaj main un sabko jawab dena chahti hoon. Mera ye blog meri zinda diary hai. Ek aisi housewife ki diary jise barson tak akela chhod diya gaya. 

Main ye sab bahut pehle se likh rahi hoon, par aaj ise 'Public' kar rahi hoon kyunki ab mujhse aur saha nahi jata.

 Bardasht ke bahar ho gaya hai sab kuch. Main kyun hamesha dosti aur rishton ki maryaada nibha un jab dusri taraf sirf dhokha aur berukhi hai?

 Aakhir kyun main doshi bani rahun? Sabko unka asli chehra pata hona chahiye, jo duniya ke saamne khud ko bahut 'dudh ka dhula' bante hain.

Dard kyun likhti hoon?

 Kyunki meri takleef aaj ki nahi hai. Shaadi ke shuruat se hi na jaane unhe (Pati) mujhse kya dikkat thi, 

wo bas divorce lena chahte the. Ek taraf unka divorce ka darr aur dusri taraf bache ka pressure. Jab main sirf 23

saal
ki thi, tab meri badi beti hui. 


Mujhe laga tha sab theek ho jayega, par kuch nahi badla. 2020 mein jab main dubara conceive kiya, tab umeed thi ki shayad ab wo badlenge, par 25 Feb 2020 waala ultrasound karwane bhi main akele gayi thi. Wo business mein busy the aur main clinic ke bahar akele ro rahi thi ki 'bacche ka ghar' (sac) toh hai par baccha nahi dikh raha.



Health aur Beauty tips kyun?

Kyunki barson ke mental stress aur weekly injections ne mere sharir ka nash kar diya tha. 

Thyroid ne mujhe suja diya, saans lena bhari kar diya. Maine gajar, chukandar aur amla ke juice se khud ko khada kiya hai. 

Main hair oil ki baat isliye karti hoon kyunki stress ne mere baal jhad diye the. Kya ek aurat ko hak nahi ki wo dard ke beech bhi khud ko phir se sanwaare?



Bhakti kyun? 

Kyunki jab pati dekh kar bhi anjaan ban jate the, tab mere Kanha ne mera haath thama. Aaj unka Raja Beta jaisa singaar karke mujhe wo sukoon milta hai jo duniya ki koi daulat nahi de sakti.

Pati ko lagta tha main phone par 'chugli' kar rahi hoon. Par unhe kya pata tha ki jab main apne maa-baap se baat karti toh unhe takleef hoti, family mein dukh baan tti toh bura lagta. 

Aakhir main jaye toh kahan jaye? 

Maine is blog ko apna sahara banaya.
Mujhe khud nahi pata tha ki main ye sab kyun kar rahi hoon, bas ab saha nahi gaya isliye aaj majbooran mujhe ye sab duniya ke saamne lana pad raha hai. Maine 2020 se lekar ab tak ka safar akele darj kiya hai. 

Ab main rukne wali nahi hoon. Har saal ka hisaab, har wo aansu jo maine 22 saal ki umar se ab tak bahaya hai, wo yahan saboot bankar rahega

Jo log naye hain, wo meri shuruat yahan padh sakte hain:

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah
10 Feb 2020: December se ruki saansein aur darr

Mere Laddu Gopal mere saath hain, aur ab ye 'Khwab Udano ki' sachai ki udaan bharega. 
 
🙏🙏 Jai shree shyam  Radhe Radhe!"🙏🙏

Shayari:

"Khamosh thi toh duniya ko laga ki darr gayi main,
Ab bol rahi hoon toh lagta hai badal gayi main.
Ye badlav nahi, barson ka wo hisaab hai,
Jo aaj saboot bankar ek khuli kitaab hai."


Hashtags
#Khwab Udano ki #Day 68 #MyStory #Truth Unveiled #Survivor #Housewife Life #Mental Stress #Radhe Radhe #Laddu Gopal #Women Empowerment #Blogger India #Saboot #Emotional Journey

Mere pichhle dard aur sabooton ki dastaan yahan dekhein:

🔗 Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah
https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/04/day-67-meri-khamoshi-ka-gunaah-aur-10.html

🔗 March 2020: Intezar aur Injections - Kya baccha aayega?
https://khwabudanoki.blogspot.com/2020/03/intezar-aur-injections-kya-baccha-aayega.html

🔗 Feb 2020: Blood Report bhi fail ho gayi aaj
https://khwabudanoki.blogspot.com/2020/02/blood-report-bhi-fail-ho-gayi-aaj.html
🔗 Feb 2020: December se ruki saansein -

 Khushi hai ya darr?
https://khwabudanoki.blogspot.com/2020/02/december-se-ruki-saansein-khushi-hai-ya.html

"Doston, ye sirf ek kahani nahi, meri zindagi ki sachai hai. Agar aapko lagta hai ki har aurat ko apni baat kehne ka hak hai, toh please:

💬 Comment karein: Apni rai dein aur mujhe batayein ki kya khamosh rehna waqayi gunaah hai? Aapka ek chota sa message mujhe himmat deta hai.

❤️ Like karein: Agar aap meri is ladayi mein mere saath hain.

📢 Share karein: Is blog ko apne doston aur parivaar ke saath share karein. Shayad aapka ek share kisi aur 'khamosh' aurat ko bolne ki himmat de de.

Mujhe aapke saath aur sahyog ki zaroorat hai.

🙏🙏 Jai shree shyam Radhe Radhe!"🙏🙏

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath