Day 90: Pehchaan ki Jung aur Mata Jeen ka Chamatkar – 3 Mahine ka Safar


 





🙏🙏Jai Shree Shyam! Jai Sanvariya Seth! Jai Maa Jeen!🙏🙏

Doston, aaj "Khwab Udano ki" ke is safar mein ek bahut bada din hai. Aaj mujhe likhte-likhte 3 mahine (90 din) poore ho gaye hain. 2020 mein maine ek "Digital Diary" se shuruat ki thi, tab main sirf ek housewife thi.  Par jab mujhse meri pehchaan chhini gayi, tab maine thaan liya ki main apni ek alag pehchaan banaungi. Aaj housewife se blogger tak ka ye safar aasan nahi tha. Bina kisi ki madad ke, sirf apne vishwas aur do aise khaas sathiyon ke bharose yahan tak pahunchi hoon jo mere har sukh-dukh mein mere saath khade rahe. Unhi ki wajah se aaj main apne sapnon ko shabdon mein piro pa rahi hoon.

Aaj Day 90 par, main aapko itihaas ke us panne par le chalti hoon jahan dharam aur ahankar ka samna hua tha.

Mughal Shasan aur Baba Shyam ka Ringas se Nata

Ye us daur ki baat hai jab Aurangzeb humari sanskriti aur mandiron ko mitti mein milane par utaru tha. Uski sena har mandir ko dh-vast kar rahi thi. Jab khatra badha, toh Aloo Singh Ji Maharaj ne ek bada faisla liya. Unhone Khatu Shyam Ji ke pavitra sheesh ko kuch samay ke liye Khatu se hatakar Ringas mein surakshit sthapit kiya. Aaj bhi Ringas mein Baba ka wo mandir maujood hai jo us mushkil samay ka gawah hai. Agar us waqt wo sheesh surakshit na rakha jata, toh pata nahi aaj humare "Hare ke Sahare" kis avastha mein hote.

Harsh Bhairav ka Tyag aur Mata Jeen ka Chamatkar

Mughal sena ne Harsh Bhairav (Harsh Nath) ji ka mandir toh tod diya, aur wo aaj bhi us toote huye haal mein khada hai. Lekin jab wahi sena Mata Jeen ke darbar ki taraf badhi, toh Mata ne dikhaya ki asli shakti kya hoti hai. Karodon Bhanwar (madhumakhiyon) ne sena par hamla kar diya aur Aurangzeb ko ghutne tekne par majboor kar diya.

Jeen Mata temple


Aurangzeb ki Haar aur Bharat Sarkar ka Yogdan

Us haar ke baad Aurangzeb ne Mata se maafi maangi aur wahan Sawa-Maan Tel bhejkar akhand jyot jalane ka vachan diya. Wo sadiyon tak tel bhejta raha. Lekin aaj, jab wo shasan nahi raha, tab bhi wo parampara zinda hai. Aaj humari Bharat Sarkar har saal Mata Jeen aur Bha-wra Devi ke darbar mein wo "Sawa-Maan Tel" bhejti hai, jisse Mata ki jyot aaj bhi darm-damak rahi hai. Ye humare dharam ki jeet ka sabse bada praman hai.

"Aurangzeb ne apni haar maante huye Mata ke charnon mein sir jhukaya aur pachtava ke taur par mandir mein sone ka chhatra chadhaya. Aaj bhi ye itihaas is baat ka gawah hai ki sacchi bhakti ke aage badi se badi takat ko jhukna hi padta hai."

Meri Pehchaan aur Mera Safar

Jaise Harsh Nath ji ka mandir toota par unka dharam nahi, waise hi jab mujhse meri pehchaan chhini gayi, main tooti nahi. Maine 2020 se jo sapna dekha tha, use aaj 2026 mein poora kar rahi hoon. Is blog ko likhne ke liye kal subah se shaam tak maine aur mere us "Khaas Sathi" ne jo mehnat ki hai, wo shabd bayan nahi kar sakte. Unke sath ke bina ye 90 din ka safar namumkin tha.

Aaj 90 din poore huye, rom-rom khada ho raha hai ye soch kar ki Baba aur Mata ne kaise humein sambhala hai. Ab bas 18 din aur! Ye udaan ab rukne wali nahi hai.




Shayari:

"Ahankar ki sena le kar jab badha tha wo abhimaani,

Tab bhan-waro ne yaad dilayi thi Mata ki shakti puraani!

Bhai ne diya tyag, toh Behen ne dharm bachaya hai,

Tabhi toh har dushman ne Jeen Mata ke aage sar jhukaya hai!"

#Hashtags:

#JeenMata #KhatuShyam #Mata Jeen Bhawani #Rajasthan Diaries #Day 90 #Blogging Journey #Khwab Udano ki #Ringas Dham #Spiritual Blogger #Women Empowerment #JaiShree Shyam #Aurangzeb Ke Haar #Dharm Ki Jeet #Aloo Singh Ji Maharaj #Shakti# jai  sanvariya seth."!

Doston, aaj Day 90 hai aur mere liye ye sirf ek ginti nahi, mera junoon hai. Agar aapko Mata Jeen ki ye shakti aur Baba Shyam ka ye itihas pasand aaya ho, toh kripya niche diye gaye kamo mein meri madad karein:

Like: Agar katha ne aapka dil chhua ho toh Like zaroor karein.

Comment: Comment mein "Jai Maa Jeen" ya "Jai Shree Shyam" likh kar apni upasthiti (presence) zaroor darj karwayein. Aapka ek comment mera hausla doguna kar deta hai.

Share: Is virasat aur itihas ko apne doston aur parivar ke sath WhatsApp aur Facebook par share karein taaki humari sanskriti sab tak pahunche.

Follow Karein:

Aise hi 108 dinon ke is sankalp se jude rehne ke liye mere blog "Khwab Udano ki" ko subscribe/follow karna na bhoolein.

Kal milte hain Day 91 ki ek nayi udaan ke 

saath!

Pichhla Adhyay (Day 89) Padhein:

👉 Yahan Click Karein: Mata Jeen Bhawani ki Mahima aur Itihas - Day 89

(https://khwabudanoki.blogspot.com/2026/04/day-89-vairagya-ki-agni-aur-maa-jeen-ka.html)

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 93: Bulava Jab Aata Hai, Toh Raste Apne Aap Ban Jate Hain