1 March:blog:29 Kahaniyan aur Khamosh Jeet! February ka safar aur woh Gehra Dard
Mera Sangharsh 6:30 AM se raat 1:00 AM tak ki jung
"Log puchte hain main itna busy kyun hoon mera din subah 6:30 baje shuru hota hai aur raat ke 1 baje ke baad khatam hota hai. Subah 11 se raat 10 baje tak ki job silai centre ka kaam, aur phir raaton ko jagkar apne blog aur E-book likhna. Main koi hamdardi nahi chahti, na hi main 'bechari' banna chahti hoon main bas apna sach bata rahi hoon taaki kal jab main kamyab hoon, toh log meri mehnat ka hisab dekh sakein.
Aankhon mein nind bhari rehti hai, sar dard se phat-ta hai, par main so nahi sakti. mujhe bhi sukoon ki nind chahiye, mujhe bhi chain ki zindagi chahiye - par meri paristhiti abhi aisi nahi hai. Maine khud ko itna busy kar liya ki ab mere paas un logon ke liye waqt nahi jo mera dil dukhate hain. mujhe kisi ke naam se nahi, apne naam se jaana jaana hai. Ek din log mere naam se mere apno ko pehchaanein, bas yahi meri zid hai".
Mere pathakon ka shukriya: Dil se Aabhar
"Is safar mein main akeli nahi rahi, un sab logon ka dil se shukriya jo mera blog padhte hain aur unka bhi vishesh shukriya jo silently (chup-chaap) aakar mera blog padh kar chale jaate hain. Aapka har ek view, har ek visit meri himmat badhata hai. Aaj mere blog par 449 views hain. Aur mere liye kisi dawa se kam nahi hai. Jab mujhe lagta tha ki koi meri baat nahi sun raha, tab aapne mere shabdon ko sahara diya".
Baba Shyam ki sharan: Ab sab unpar
"Aaj main koi katha nahi sunaungi, Bas mere Baba ne mere mann mein ek ajeeb si feeling di hai ki 'tu apna dard bata de.' maine sab kuch Baba ke charnon mein samarpit kar diya hai. wo jaante hain ki main galat hoon ya sahi. sabne saath chhoda, par mere Baba Shyam aur Laddu Gopal ne mera haath thama. Aaj man mein ek ajeeb si shanti hai. dimag mein jung hai ek aankhon mein aansu - par dil mein vishwas hai ki 'mera waqt zaroor aayega'."
Nishkarsh: Kal ka Naya suraj
"February ja raha hai par mera junoon nahi. Main amir banungi - itni ki apne sapno ka ghar khud bana sakun, jahan se mujhe koi nikal na sake. aaj vishwas nahi hai toh kya hua? Ek din meri kamyabi ka shor sab sunenge. Aage ki katha kal se shuru hogi ek nayi umeed ke saath.
🙏🙏 Jai Shree Shyam."🙏🙏
Shayari:
"Aankhon mein nind hai, sar mein dard aur dil mein gehra gham,
par thak kar ruk jana, meri fitrat mein nahi hai humdam.
Jab sabne sath chhoda, tab unhone mera hath thama,
mere Baba Shyam ne hi mujhe har pal jeena sikhaya."
Tags: #Blogger life #Consistency #28 Days Challenge #Success mindset #Dream home goal #Jai Shree Shyam #Baba Shyam Ki Ladli #Faith over fear #KhatuShyamJi
Ending line: "Main thaki hoon, haari nahi hoon. Main akeli hoon, par tanha nahi hoon... kyunki mere Baba mere saath hain."







Comments
Post a Comment