Mere bacche ne mera intezar nahi kiya... 😭😭😭
Kaash Main Ghumne Na Gayi Hoti...
Date: 15 February 2020
Time: 09:00 PM (Wapsi ke baad)
"Aaj main Puri se wapas aayi hun, par main kyun aayi? Kaash main kabhi ghumne gayi hi na hoti. Jis darr se mera man kaanp rha tha, wahi hua. Jaise hi main apne tote ko lene gayi, us bachi ne kaha ki wo nahi raha... wo mar gaya.
Ye sunte hi jaise meri duniya ruk gayi. Main wahi sadak par baith kar itna royi ki mujhe hosh nahi tha. Maine uske liye sab kuch taiyar karke rakha tha, socha tha aate hi use apne hath se khilaungi, dher saari baatein karungi. Par wo chala gaya. Wo mujhse itna pyar karta tha ki shayad meri judaai bardaasht nahi kar paya.
Main khud ko kabhi maaf nahi kar paungi. Log kahenge ek tota hi toh tha, par mere liye wo mera baccha tha. Mera masoom dost, jo mere har dukh mein mere sath rehta tha. Aaj mera ghar ekdum khali ho gaya hai. Bhagwan, kyun kiya aisa mere sath? Na main jati, na mera baccha mujhse door hota."
Comments
Post a Comment