July 2020: Tyohar, Birthday Aur Wo Suji-Maida Ka Cake

 Date:- 6/2020

Time:-7:30 AM

"July ka mahina shuru ho chuka tha. Ek taraf duniya darr mein thi, par dusri taraf mere ghar mein khushiyon ke mauke aa rahe the. Meri pregnancy ka 5th-6th mahina chal raha tha, shareer bhari tha aur Thyroid ki thakan bhi thi, par mera dil hamesha se sabko khush dekhna chahta tha.

3 July ko meri saasu maa ki anniversary thi. Halanki us din humne zyada kuch nahi kiya, par man mein unke liye samman wahi tha. Uske thik do din baad, 5 July ko mere pati ka birthday tha. Lockdown khul chuka tha par darr abhi bhi tha. Mere husband ne saaf mana kiya tha ki—'Tumhari tabiyat thik nahi rehti, itni garmi hai, kuch mat karna.'

Par main kahan manne wali thi? Maine thaan liya tha ki unka birthday yaadgar banana hai. Maine ghar par hi Suji aur Maida ka cake banaya. Bina bazaar ki cream ke, ghar ki cheezon se use sajaya. Jab unhone wo cake dekha, toh wo hairan reh gaye! Wo gussa bhi huye ki maine itni mehnat kyun ki, par unki aankhon ki khushi sab bayan kar rahi thi.

Mere pati hamesha kehte hain—'Mere maa-baap ne kabhi mera birthday nahi manaya tha, par tumhare aane ke baad se har cheez celebrate hone lagi hai.' Maine sirf unka hi nahi, bhaiyon ka aur ghar ke har sadasya ka birthday dhoom-dhaam se manana shuru kiya tha. Maine poore ghar ka mahaul hi badal diya tha, har din ko tyohar bana diya tha.

Dukh hota hai ye soch kar ki jis ghar ko maine itne pyar se sajaya, jahan har kisi ki khushi mein apni khushi dhundhi, wahan waqt ke saath mujhe wo ijjat nahi mili jiski main haqdar thi. Shayad wahi se dil mein wo duriyan badhti chali gayi. Par wo July ki khushi aur wo cake ka swaad aaj bhi meri yaadon mein mehakta h

ai."

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath