[03 January 2021]: Baarish toh ruk gayi par dard nahi
Date 📅:-3/2021
Time:-5:52 PM
Meri pyari diary,
aaj phir tumse dil ki baat karne baithi hoon. Wo 1 tarikh ki baarish toh ruk gayi, par mere mann ka tufan nahi thama. Sab log ghar wapas aa gaye hain, par kisi ne ye tak nahi pucha ki 'Radhe, tumne un do bacchon ke saath wo raat kaise kaati?'. Ghar mein sab apni-apni baaton mein magan hain. Diary, kya mera hona sirf kaam karne ke liye hai? Jab main bacchon ko thand se bacha rahi thi, tab mera darr sirf main jaanti thi. Kaash koi hota jo mera haath pakad kar kehta ki tumne bahut himmat dikhayi."
Comments
Post a Comment