[04 March 2021] – Meri Pyari Diary: Mayke ki subah aur befikra nind

 Date 📅:-4/2021

Time:-12:49 PM

"Meri pyari diary,

Aaj 4 March hai. Mayke aaye huye kafi din ho gaye hain aur sach kahun toh lagta hai jaise main kisi doosri hi duniya mein aa gayi hoon. Sasural mein toh suraj nikalne se pehle hi dimaag mein darr baith jata tha, par yahan... yahan meri nind tab khulti hai jab mera mann karta hai.

Meri dono betiyan yahan sabki jaan bani hui hain. Meri bahanen aur mummy-papa unhe itna sambhal lete hain ki mujhe pata hi nahi chalta kab unhone khana khaya aur kab wo so gayi. Aaj maine kitne dino baad chain se baith kar chai pi hai. Diary, yahan koi mujh par chillane wala nahi hai, koi taane dene wala nahi hai. Bas ek sukoon hai jo meri rooh ko thandak de raha hai

."

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath