28 March 2021] – Meri Pyari Diary: Holika Dahan aur Pati ka Intezar

 Date 📅:-28/2021

Time:-1:32 PM

"Meri pyari diary,

Aaj 28 March hai aur aaj Holika Dahan hai. Kal se hi ghar mein dhoom-dhaam shuru ho gayi thi, par mera mann thoda bechain tha. Maine pati se kaha tha ki wo Holi par zaroor aayein, aur jaisa unhone wada kiya tha, wo aaj pahunch gaye! Unhe dekh kar meri dono betiyan itni khush hain ki kya bataun.

Aaj sham ko hum sabne milkar Holika Dahan dekha. Mayke mein ye tyohar manana kitna alag lag raha hai—yahan darr nahi, sirf maza hai. Meri dono cousin sisters, didi aur parivaar ke sabhi log saath hain. Humne dahan ki agni mein apni saari pareshaniyan aur sasural ke wo kadvahat jala dene ki dua maangi. Kal rang wali Holi hai aur pati ke saath hone se ye tyohar aur bhi khaas lag raha hai. Aaj ki raat bas kal ki masti ka intezar hai

."

Comments

Popular Posts

Khwab Udaano Ki – Dard Se Jeet Tak Ka Safar

Day 67: Meri Khamoshi ka Gunaah aur 10 Saal ka Hisaab

Day 37: Sapno ki Udaan aur Baba ka Saath